hum aandhiyon ke ban mein kisi karwan ke the

By jaun-eliyaNovember 2, 2020
hum aandhiyon ke ban mein kisi karwan ke the
jaane kahan se aae hain jaane kahan ke the
ai jaan-e-dastan tujhe aaya kabhi khayal
wo log kya hue jo teri dastan ke the


hum tere aastan pe ye kahne ko aae hain
wo khak ho gae jo tere aastan ke the
mil kar tapak se na hamein kijiye udas
khatir na kijiye kabhi hum bhi yahan ke the


kya puchhte ho nam-o-nishan-e-musafiran
hindostan mein aae hain hindostan ke the
ab khak ud rahi hai yahan intizar ki
ai dil ye baam-o-dar kisi jaan-e-jahan ke the


hum kis ko den bhala dar-o-diwar ka hisab
ye hum jo hain zamin ke na the aasman ke the
hum se chhina hai naf-piyala tera miyan
goya azal se hum saf-e-lab-tishnagan ke the


hum ko haqiqaton ne kiya hai kharab-o-khwar
hum khwab-e-khwab aur guman-e-guman ke the
sad-yaad-e-yaad 'jaun' wo hangam-e-dil ki jab
hum ek gam ke na the par haft-khwan ke the


wo rishta-ha-e-zat jo barbaad ho gae
mere guman ke the ki tumhaare guman ke the
75961 viewsghazalEnglish