hum apne aansuon ka afsana kya sunaen
By ahmad-farazJanuary 1, 2024
hum apne aansuon ka afsana kya sunaen
duniya ne kar diya hai diwana kya sunaen
sab zakhm bhar chuke hain sab khwab mar chuke hain
ab kis umid par hum sham'en nai jalaen
in kashtiyon ka kya hai aksar yahi hua hai
tufan se nikal kar sahil pe dub jaen
kab sath 'umr bhar ka hum dil-zada ne chaha
par ham-safar hamare kuchh dur tak to aaen

55985 viewsghazal • English