hum ashk-e-gham hain agar tham rahe rahe na rahe mizha pe aan ke tuk jam rahe rahe na rahe rahen wo shakhs jo bazm-e-jahan ki raunaq hain hamari kya hai agar hum rahe rahe na rahe mujhe hai naza wo aata hai dekhne ab aah ki us ke aane talak dam rahe rahe na rahe baqa hamari jo puchho to jun charagh-e-mazar hawa ke bich koi dam rahe rahe na rahe milo jo hum se to mil lo ki hum ba-nok-e-giyah misal-e-qatra-e-shabnam rahe rahe na rahe yahi hai azm ki dil bhar ke aaj ro lije ki kal ye dida-e-pur-nam rahe rahe na rahe tumhaare gham mein gharaz hum to de chuke hain ji bala se tum ko bhi ab gham rahe rahe na rahe yahi samajh lo hamein tum ki ek musafir hain jo chalte chalte kahin tham rahe rahe na rahe 'nazir' aaj hi chal kar buton se mil lije phir ishtiyaq ka aalam rahe rahe na rahe