hum dil ko liye bar-sar-e-bazar khade hain hairan-e-tamanna-e-kharidar khade hain ghairon se wo khalwat mein hai mashghul-e-zarafat hum rashk ke mare pas-e-diwar khade hain un sharm-zadon ko bhi bula samne apne jo sharm ke mare pas-e-diwar khade hain az-bahr-e-khuda baam par aa ai but-e-kafir kuche mein tere talib-e-didar khade hain dhab paun to main us se kahun haal-e-dil apna is but ko to ghere hue aghyar khade hain hai us ki sawari ki khabar sair-e-chaman ko aur ahl-e-tamasha sar-e-bazar khade hain jun naqsh-e-qadam baithne ki ja nahin milti is kuche mein hum is liye na-chaar khade hain kucha hai tera wada-gah-e-khalq ki jis mein do-chaar jo baithe hain to do-chaar khade hain ho azm-e-safar tujh ko to ai 'mushafi' ab bhi chalne ke liye qafile tayyar khade hain