hum din ke payami hain magar kushta-e-shab hain is haal mein bhi raunaq-e-alam ka sabab hain zahir mein hum insan hain mitti ke khilaune baatin mein magar tund anasir ka ghazab hain hain halqa-e-zanjir ka hum khanda-e-jawed zindan mein basae hue ek shahr-e-tarab hain chatki hui ye husn-e-gurezan ki kali hai ya shiddat-e-jazbaat se khulte hue lab hain aaghosh mein mahkoge dikhai nahin doge tum nikhat-e-gulzar ho hum parda-e-shab hain