hum ghair samajhte use aisa bhi nahin KHair

By hamida-shahinOctober 31, 2020
hum ghair samajhte use aisa bhi nahin khair
lekin wo kisi ka nahin apna bhi nahin khair
jo sochte rahte hain wo karna nahin mumkin
karne ke irade se to socha bhi nahin khair


shohra hai ki ruswai ki tasdiq hai wo shakhs
shohrat ka bharosa koi hota bhi nahin khair
kuchh ban ke dikhane ki tamanna ka bana kya
itni si tamanna mein to banta bhi nahin khair


hum us ke liye apni nazar mein bure thahren
achchha hai wo achchha bhai itna bhi nahin khair
kuchh saint ke rakhne ka hamein shauq nahin tha
kuchh saint ke rakhne ke liye tha bhi nahin khair


go ek aziyyat hai tera rang-e-taghaful
ye rang kisi aur pe sajta bhi nahin khair
us shakhs pe tanhai to utregi bala ki
jo hai bhi nahin khair hai lagta bhi nahin khair


sab khair ho sab khair ho ai majma-e-zahir
hum bhid ka hissa nahin tanha bhi nahin khair
ye khair faqat lafz nahin fahm-o-yaqin hai
jo khair samajhta nahin hota bhi nahin khair


67456 viewsghazalEnglish