hum hain insan is liye lazim hai ki musalsal kaam karen
By farhat-ehsasFebruary 6, 2024
hum hain insan is liye lazim hai ki musalsal kaam karen
koi khuda to nahin hain hum jo satwen din aaram karen
hum to hain bande jaan-o-badan se aap ke husn ke tabe'dar
aap hain aaqa hum jaise chahe jitnon ko ghulam karen
hum ko to 'adat hai raaton mein jagne rone gane ki
hum ko hamare haal pe chhoden nind na apni haram karen
aap ki aankhon se lafzon ka rizq utarta hai hum par
aap jo chahen sukha rakkhen ya barish ilham karen

64036 viewsghazal • English