hum hain sar-ta-ba-pa tamanna kaisi ummid kya tamanna ho kitni hi khush-gawar phir bhi hai dil ke liye bala tamanna dete ho payam-e-arzu tum jab tark main kar chuka tamanna duniya ko fareb de rahi hai jalwa hai sarab ka tamanna apni manzil pe hum na pahunche jab tak rahi rahnuma tamanna mabain-e-nigah-o-jalwa-e-husn hai ek hijab sa tamanna uljha raha aarzu mein ghafil kyun khud hi na ban gaya tamanna aawaz to do kise pukarun tum ho mere dil mein ya tamanna 'simab' maal-e-shauq malum am-lil-insan-e-ma-tamanna