hum jab ta’assubaat ki rau mein nikal gae
By hafeez-aatishOctober 24, 2023
hum jab ta’assubaat ki rau mein nikal gae
kitne nae makan mahalle ke jal gae
ghar se nikal ke dekhen khule aasman mein
tabdil hum hue hain ki mausam badal gae
ye bahs hi fuzul ki khote the ya khare
sikke the chalna un ka muqaddar tha chal gae
raste pe ek za'if ke chehre ko dekh kar
kya kya khayal zehn ke goshon mein pal gae
pahchanne mein aata nahin hai ab apna shahr
do-chaar sal mein sabhi naqshe badal gae

44193 viewsghazal • English