hum jangal ke jogi hum ko ek jagah aaram kahan aaj yahan kal aur nagar mein subh kahan aur sham kahan hum se bhi pit ki baat karo kuchh hum se bhi logo pyar karo tum to pareshan ho bhi sakoge hum ko yahan pe dawam kahan sanjh-samay kuchh tare nikle pal-bhar chamke dub gae ambar ambar dhundh raha hai ab unhen mah-e-tamam kahan dil pe jo bite sah lete hain apni zaban mein kah lete hain 'insha'-ji hum log kahan aur 'mir' ka rang-e-kalam kahan