hum kab az-khud tere ghar yar chale aate hain rah nahin sakte to na-chaar chale aate hain le khabar us ki shitabi se ki aashiq ko tere ghash pe ghash shokh sitamgar chale aate hain main to hairan hun matab hai ki dar-e-yar hai ye yan to bimar pe bimar chale aate hain ghar mein ghabraate hain be-yar to hum wahshi se sar-barahna sar-e-bazar chale aate hain khade rah sakte nahin dar pe to hairan se wan baith kar hum pas-e-diwar chale aate hain kis ke nalon ki ye aandhi hai ki shakl-e-par-e-kah aaj udte hue kohsar chale aate hain