hum karen baat dalilon se to radd hoti hai us ke honton ki khamoshi bhi sanad hoti hai sans lete hue insan bhi hain lashon ki tarah ab dhadakte hue dil ki bhi lahad hoti hai jis ki gardan mein hai phanda wahi insan bada suliyon se yahan paimaish-e-qad hoti hai shoabda-gar bhi pahante hain khatibon ka libas bolta jahl hai bad-nam khirad hoti hai kuchh na kahne se bhi chhin jata hai ejaz-e-sukhan zulm sahne se bhi zalim ki madad hoti hai