hum KHak-nashinon pe tum ilhami ata ho

By abu-hurrairah-abbasiSeptember 2, 2024
hum khak-nashinon pe tum ilhami 'ata ho
jaise kisi majzub ki maqbul du'a ho
le aao koi misr se mahbub ka kurta
taki meri aankhon ka diya phir se hara ho


is dhaj se manane ka hunar us ko hai hasil
main phir se manaunga chalo phir se khafa ho
duniya mein hasin lakh hain par tum se nahin hain
goya tumhein qudrat ne bhi fursat mein buna ho


aao kabhi sahra mein to ban jae wo gulshan
is mausam-e-naumid mein paigham-e-ziya ho
nikle hai du'a dil se mere ye hi musalsal
gunje jo mere ghar mein faqat teri sada ho


hai un ka bulawa mujhe aise ki ye goya
sarkar ke darbar se ye hukm mila ho
ye chizen zaruri hain takhayyul ko hamare
ek jam sar-e-sham ho aur baad-e-saba ho


kuchh nukta-waron se bhi abhi tai na hua ye
kya raaz tumhaara hai ki tum kaun ho kya ho
ai kash ki mujh ko bhi 'ata ho wo haqiqat
bas main hun mera yar ho aur ghaar-e-hira ho


tum asl mein kya ho ye 'ayan kyon nahin karte
sultan ho mahbub ho but ho ya khuda ho
93959 viewsghazalEnglish