hum ki lamhat ke tewar pe nazar rakhte hain dekh har haal mein jine ka hunar rakhte hain ghair ki rah pe chalna nahin fitrat apni hum zamane se juda apni dagar rakhte hain jo kate haq ke liye raunaq-e-maqtal thahre hum sajae hue shanon pe wo sar rakhte hain be-nishani to muqaddar hai azal se apna apni pahchan ka ek naqsh magar rakhte hain hum wahi khak-nashin hain ki zamin par rah kar charkh ke chand sitaron pe guzar rakhte hain hum ko aasaish-e-manzil na sada dena kabhi wo musafir hain ki pairon mein safar rakhte hain wadiyan surat-e-gulzar mahak uthti hain khar-zaron mein bhi hum panw agar rakhte hain hamil-e-soz ho 'jauhar' na ghazal kyon apni hum chhupae hue sine mein sharar rakhte hain