hum ko duniya nahin sansar nahin kuchh bhi nahin

hum ko duniya nahin sansar nahin kuchh bhi nahin
kuchh nahin chahiye jab yar nahin kuchh bhi nahin

tere mansur ko kya chahiye hai tu hi bata
yar is bar yahan dar nahin kuchh bhi nahin

tha irada ki sitaron ko ginen raat kate
ek tara yahan zau-bar nahin kuchh bhi nahin

sarmadi raste pe nikle ho to mat le jao
ji nahin sar nahin dastar nahin kuchh bhi nahin

ye jo uslub hai shikwa nahin fan hai tu samajh
main teri zat se bezar nahin kuchh bhi nahin

hum se yan sabr to mushkil tha janab-e-'atif'
tur tak ja ke bhi didar nahin kuchh bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close