hum ko hua tha ishq jawani mein muKHtasar

By aarif-nazeerJuly 30, 2024
hum ko hua tha 'ishq jawani mein mukhtasar
kirdar tha hamara kahani mein mukhtasar
mat puchh raat kitni aziyyat-guzar thi
milna tha us se sham-suhani mein mukhtasar


tafsili guftugu ka tha mauzu' par wo shakhs
jo kah gaya hai baat rawani mein mukhtasar
suraj-mukhi ka phul tha naraaz sham tak
main kho gaya tha raat ki rani mein mukhtasar


bahrup doston ka 'ayan hum pe ho gaya
dekha nishana hum ne nishani mein mukhtasar
aa'mal-e-nek-o-bad ki hamein kya khabar miyan
hum rah rahe hain kucha-e-fani mein mukhtasar


ahwal likh ke aap hamein bhej dijiye
'arif-nazir' misra'-e-sani mein mukhtasar
19394 viewsghazalEnglish