hum ko jahan-e-shauq ka manzar nahin mila

By adnan-asarJanuary 18, 2025
hum ko jahan-e-shauq ka manzar nahin mila
raste ki tez dhup mili ghar nahin mila
tujh mein jo baat hai wo kisi aur mein kahan
tujh sa koi bhi shakhs kahin par nahin mila


khud hi chuna tha main ne mohabbat ka rasta
koi bhi dard khud mujhe aa kar nahin mila
dar tha use waba ka hi pas-e-wafa na tha
aaya to mujh ko dil se laga kar nahin mila


ab ke baras main ganw se lauta ba-khairiyat
raste mein us ki yaad ka lashkar nahin mila
maujud to the zahiri asbab bhi tamam
phir sochta hun wo mujhe kyunkar nahin mila


aae aur aa ke dekh le daman ki dhajjiyan
jis ko kahin dayar-e-sitamgar nahin mila
38953 viewsghazalEnglish