hum ko khinche hai koi zat kisi jaanib ko hum ko le jae hai ye raat kisi jaanib ko shaikh kahta hai tere nam se kuchh aur hamein aur jae hai teri baat kisi jaanib ko wa'iza tere bayanat hain kuchh aur hi samt aur sahifon ke bayanat kisi jaanib ko naqsh-e-pa qais ke jate hain dar-e-laila tak aur ye ret ke zarraat kisi jaanib ko ek maikhane mein kuchh rind-sifat dekhe gae baithe karte the teri baat kisi jaanib ko