hum ko waiz na bagh-e-iram chahiye
By wafa-niyaziJanuary 8, 2021
hum ko waiz na bagh-e-iram chahiye
ek un ki nigah-e-karam chahiye
dahr ho ya ki kaba ho but-khana ho
kuchh bhi ho mujh ko apna sanam chahiye
dil hamesha hi jis mein ulajhta rahe
un ki zulfon ke wo pech-o-kham chahiye
jis mein apne sanam ka tasawwur na ho
wo khushi chahiye aur na gham chahiye
un ki bakhshish ka koi thikana nahin
daman-e-masiyat apna nam chahiye
chashm-e-maigun se jis ki main sarshaar hun
han mujhe wo hi pir-e-haram chahiye
ek un ki nigah-e-karam chahiye
dahr ho ya ki kaba ho but-khana ho
kuchh bhi ho mujh ko apna sanam chahiye
dil hamesha hi jis mein ulajhta rahe
un ki zulfon ke wo pech-o-kham chahiye
jis mein apne sanam ka tasawwur na ho
wo khushi chahiye aur na gham chahiye
un ki bakhshish ka koi thikana nahin
daman-e-masiyat apna nam chahiye
chashm-e-maigun se jis ki main sarshaar hun
han mujhe wo hi pir-e-haram chahiye
83885 viewsghazal • English