hum mund ke palken kabhi roya nahin karte

By shahnaz-naqviMarch 1, 2021
hum mund ke palken kabhi roya nahin karte
aankhon mein jo aansu ho to soya nahin karte
har talkh haqiqat ko udate hain hansi mein
hum log kisi baat pe roya nahin karte


ek umr guzari hai to malum hua hai
kashti ko kinare pe duboya nahin karte
aankhon se jo jhadte hain wo aansu hi bahut hain
kaliyon ka to hum haar piroya nahin karte


zebaish-e-daman-e-mohabbat hai isi se
lag jae agar dagh to dhoya nahin karte
izhaar-e-mohabbat kabhi us dushman-e-jaan se
is tarah se karte hain ki goya nahin karte


kho kar tumhein ehsas hua mujh ko ye 'shahnaz'
yun pa ke kisi dost ko khoya nahin karte
21741 viewsghazalEnglish