hum na chhodenge mohabbat teri ai zulf-e-siyah sar chadhaya hai tu kya dil se giraen tujh ko chhod kar hum ko mila shama-rukhon se ja kar isi qabil hai tu ai dil ki jalaen tujh ko dard-e-dil kahte hue bazm mein aata hai hijab takhliya ho to kuchh ahwal sunaen tujh ko apne mashuq ki sunta hai burai koi kyun na hum bigden jo aghyar banaen tujh ko ruthta hun jo kabhi main to ye kahta hai wo shokh kya gharaz hum ko padi hai jo manaen tujh ko tu ne aghyar se aaina manga kar dekha dil mein aata hai ki ab munh na dikhaen tujh ko