hum na hanste hain aur na rote hain

By meer-hasanNovember 6, 2020
hum na hanste hain aur na rote hain
umr hairat mein apni khote hain
kha ke gham khwan-e-ishq ke mehman
hath khun-e-jigar se dhote hain


wasl hota hai jin ko duniya mein
yarab aise bhi log hote hain
kos-e-rahlat hai jumbish-e-har-dam
aah tis par bhi yar sote hain


dil laga us se mardum-e-dida
sath apne hamein dubote hain
aah-o-nala se wo khafa hai abas
kante hum apne haq mein bute hain


yaad aati hain us ki jab baaten
dil 'hasan' donon mil ke rote hain
47814 viewsghazalEnglish