hum na nikhat hain na gul hain jo mahakte jawen aag ki tarah jidhar jawen dahakte jawen ai khusha-mast ki tabut ke aage jis ke aab-pashi ke badal mai ko chhidakte jawen jo koi aawe hai nazdik hi baithe hai tere hum kahan tak tere pahlu se sarakte jawen ghair ko rah ho ghar mein tere subhan-allah aur hum dur se dar ko tere takte jawen waqt ab wo hai ki ek ek 'hasan' ho ke ba-tang sabr-o-tab o khirad-o-hosh khisakte jawen