hum nae hain na hai ye kahani nai

hum nae hain na hai ye kahani nai
sath sharton ke hai zindagani nai

kya ganwa kar mili bahs ye hai fuzul
aakhirash mil gai kaamrani nai

bad-mizaji pe mausam ki hairan hun
kyun hai dariyaon mein ye rawani nai

chashm-poshi masail ki hai is tarah
us ne baaton se ki gul-fishani nai

gamzan dil safar par to sakit qadam
chhed di phir unhon ne kahani nai

us ki khushbu mein shamil hai teri mahak
aaj lai khabar raat-rani nai

kis ki chahat ki tasir hai, waqt ne
us ke paikar mein rakh di jawani nai

thi lachak jab talak zist apni rahi
ras aai na ye sakht-jaani nai

khamushi se hi un ki chaman jal gaya
hukmaranon ki hai pasbani nai

phutne ko thi ummid ki ek kiran
ho gai phir un ki mehrbani nai

badhte qadmon ko phir se thithakna pada
aai phir darmiyan bad-gumani nai

wadi-e-gul se mausam ka sautela-pan
us ke dariya mein kyun hai rawani nai

quwwaten sari goyai par hain muhit
hain zabanen wahi lan-tarani nai

sath lai nae gham nai uljhanen
ab nahin chahiye shadmani nai

taliyan har taraf thin ki jab us ne ki
be-zabani se hi lan-tarani nai

jis ko agle bhi pal ka bharosa nahin
us ko bhi chahiye shadmani nai

aisa lagta hai 'khalid'-miyan chahiye
is zamin ke liye jaan-fishani nai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close