hum par karega rahmaten parwardigar bhi

By meena-khanAugust 11, 2020
hum par karega rahmaten parwardigar bhi
haalat apne honge kabhi sazgar bhi
tu ne bhula di chahaten qaul-o-qarar bhi
hum muntazir rahe tere sarhad ke par bhi


haalanki kar chuka tha wo tark-e-talluqat
par kash mud ke dekhta bas ek bar bhi
dera jama liya hai khizan ne kuchh is tarah
ab khush na kar sakegi ye fasl-e-bahaar bhi


apni nigah mein to rahe surkh-ru sada
insan mein hona chahiye itna waqar bhi
ye apne rahnumaon ke wadon ka hai asar
be-e'tibar ho gaya ab e'tibar bhi


ye kaisa daur aa gaya 'mina' ki ab yahan
sikkon ke mol bikta hai apnon ka pyar bhi
79397 viewsghazalEnglish