hum par nigah-e-lutf kabhi hai kabhi nahin
By pandit-vidya-ratan-asiNovember 12, 2020
hum par nigah-e-lutf kabhi hai kabhi nahin
tum hi kaho ye kya hai agar dil lagi nahin
go ji raha hai aaj bhi koi tere baghair
lekin ye zindagi to koi zindagi nahin
us ki bala se koi jiye ya koi mere
jis ko kisi ke dard ka ehsas hi nahin
dil mein na aarzu hai koi ab na walwala
ek shama jal rahi hai magar raushni nahin
aakhir hum un ke wadon par iman laen kya
jo hum pe mehrban abhi hai abhi nahin
is guftugu ki tarz mein tarmim kijiye
kab tak main khamoshi se sunun aap ki nahin
'asi' zaban-e- khaumshi mein dastan-e-shauq
hum ne kahi hai barha us ne suni nahin

17458 viewsghazal • English