hum raaton ko uth uth ke jin ke liye rote hain wo ghair ki banhon mein aaram se sote hain hum ashk judai ke girne hi nahin dete bechain si palkon mein moti se pirote hain hota chala aaya hai be-dard zamane mein sachchai ki rahon mein kante sabhi bote hain andaz-e-sitam un ka dekhe to koi 'hasrat' milne ko to milte hain nashtar se chubhote hain