hum shahr ki diwaron mein khinch aae hain yaro mahsus kiya tha ki idhar sae hain yaro rahne bhi do kya puchh ke zakhmon ka karoge ye zakhm agar tum ne nahin khae hain yaro chhedo koi baat aisi ki ehsas ko badle hum aaj zara ghar se nikal aae hain yaro kya sochte ho taza lahu dekh ke sar mein ek dost-numa sang se takrae hain yaro aise bhi na chup ho ki pasheman ho jaise kuchh tum ne ye sadme nahin pahunchae hain yaro andaz tumhein hoga ki baat aisi hi kuchh hai warna kabhi hum aise bhi ghabrae hain yaro wo qisse jo sun lete the hum az-rah-e-akhlaq ab apne yahan waqt ne dohrae hain yaro ab tum ko sunate hain ki ehsas ki tah se ek naghma bahut dub ke hum lae hain yaro jate hain ki guzra hai ye din jin ki khizan mein aankhon mein bahaar un ke liye lae hain yaro