hum to kahte the dam-e-aKHir zara susta na ja

hum to kahte the dam-e-akhir zara susta na ja
le, chale hum jaan se, mukhtar hai ab ja na ja

le dil-e-betab aata hai wo kar le arz-e-haal
dekhte hi us ki surat is qadar ghabra na ja

tang ho kar kis ada se wasl ki shab ko wo shokh
mujh se kahta tha ki he he is qadar lipta na ja

pas aana gar nahin manzur to aa aa ke shakl
az-rah-e-shokhi mujhe tu dur se dikhla na ja

jaun jaun kya kahe hai bas ladai ho chuki
pyar se mere gale ab jaan-e-jaan lag ja na ja

kya saman rakhta hai wo mahfil se uthna yar ka
aur ishaaron se mera kahna ki aa jaana, na ja

kahte hain aata hai wo ai jaan bar-lab-amada
tu khuda ke waste tuk aur bhi rah ja na ja

ruth kar jab mujh se wo jata hai to kar zabt-e-ah
pahle to kahta hun main tu jaan ab ja ya na ja

lek uth kar jab wo jata hai to be-tabi se main
wun hi kahta hun tire qurban jaun aa, na ja

lotta hai 'jurat'-e-betab jaane se tere
yun use tadpa ke tu ai shokh-e-be-parwa, na ja


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close