hum to ruThe the aazmane ko
By fahmi-badayuniFebruary 5, 2024
hum to ruthe the aazmane ko
koi aaya nahin manane ko
jaane kya bair hai zamane ko
phal samajhta hai aashiyane ko
parsaon ne ghaur se dekha
chalte-phirte sharab-khane ko
sahn ki khak baam ke tinke
kuchh to de do dawa banane ko
aur kitna buland ho jaun
teri chaukhat pe sar jhukane ko
kya sitam hai ki mar kar patthar
bhul jata hai wo nishane ko
us ne par bhi mere nahin katre
main to raazi tha phadphadane ko
hum badi dur chal ke aae hain
panw ek shakhs ke dabane ko
koi aaya nahin manane ko
jaane kya bair hai zamane ko
phal samajhta hai aashiyane ko
parsaon ne ghaur se dekha
chalte-phirte sharab-khane ko
sahn ki khak baam ke tinke
kuchh to de do dawa banane ko
aur kitna buland ho jaun
teri chaukhat pe sar jhukane ko
kya sitam hai ki mar kar patthar
bhul jata hai wo nishane ko
us ne par bhi mere nahin katre
main to raazi tha phadphadane ko
hum badi dur chal ke aae hain
panw ek shakhs ke dabane ko
33962 viewsghazal • English