hum tumhein baddua nahin denge
By nusrat-ateeq-gorakhpurJuly 2, 2022
hum tumhein baddua nahin denge
itni lambi saza nahin denge
gham ko mahsus kijiye sahib
gham to aise maza nahin denge
apni bad-surati karo mahsus
hum tumhein aaina nahin denge
ye maraz thik hi nahin hoga
aap jab tak dawa nahin denge
tum ko kar denge bas supurd-e-khuda
hum koi faisla nahin denge
khud hi khush hoiye wafa kar ke
log dad-e-wafa nahin denge
chain un ko na aaega jab tak
apne ehsan gina nahin denge
apni be-laus chahaton ka kabhi
hum tumhein wasta nahin denge
tum mere dost rah chuke ho kabhi
itni jaldi bhula nahin denge
dil jo man-bap ka dukhaya to
dil se wo bhi dua nahin denge
hum muballigh hain ishq ke 'nusrat'
nafraton ko hawa nahin denge
itni lambi saza nahin denge
gham ko mahsus kijiye sahib
gham to aise maza nahin denge
apni bad-surati karo mahsus
hum tumhein aaina nahin denge
ye maraz thik hi nahin hoga
aap jab tak dawa nahin denge
tum ko kar denge bas supurd-e-khuda
hum koi faisla nahin denge
khud hi khush hoiye wafa kar ke
log dad-e-wafa nahin denge
chain un ko na aaega jab tak
apne ehsan gina nahin denge
apni be-laus chahaton ka kabhi
hum tumhein wasta nahin denge
tum mere dost rah chuke ho kabhi
itni jaldi bhula nahin denge
dil jo man-bap ka dukhaya to
dil se wo bhi dua nahin denge
hum muballigh hain ishq ke 'nusrat'
nafraton ko hawa nahin denge
29001 viewsghazal • English