hum us gali ka baDa ehtiram karte hain

By qamar-jalalviFebruary 28, 2024
hum us gali ka bada ehtiram karte hain
ki jo bhi milta hai us ko salam karte hain
janab-e-shaikh ye mai-khana aur ye wa’z-e-tawil
huzur kahe ko pina haram karte hain


ilahi un ki samajh mein bayan-e-gham aa jae
zaban khamosh hai aansu kalam karte hain
khuda hi jaane ab aadab-e-bandagi kya hon
jinhen ki sajde hain lazim kalam karte hain


'ajib hota hai mahfil mein un ka ru-e-sukhan
har ek samajhta hai mujh se kalam karte hain
'qamar' hilal samajh kar jo dekhte hain mujhe
gale to mil nahin sakte salam karte hain


68161 viewsghazalEnglish