hum zist ain-e-marzi-e-yazdan na kar sake

By rana-khalid-mahmood-qaiserFebruary 28, 2024
hum zist 'ain-e-marzi-e-yazdan na kar sake
bakhshish ka apni koi bhi saman na kar sake
takmil-e-arzu na hui ba'd-e-marg bhi
marqad pe bhi wo zulf pareshan na kar sake


aakhir bayan kar hi diya us se haal-e-dil
hum ehtiyat ta-had-e-imkan na kar sake
da'wa to karna 'ishq ka kar-e-fuzul hai
qurban jab kisi pe dil-o-jaan na kar sake


hum kitne bad-nasib hain jab bhi diye jalae
wo aandhiyan chalin ki charaghan na kar sake
mahfil se bar bar uthae gae magar
tark-e-khayal-e-mahfil-e-jaanan na kar sake


kashti ke dub jaane ka 'qaisar' unhen hai gham
jo log fikr-e-amad-e-tufan na kar sake
93409 viewsghazalEnglish