humne dekhe zindagi mein chand aise sar-phire

By badar-jamaliMarch 1, 2021
hum ne dekhe zindagi mein chand aise sar-phire
dushmanon mein jo payam-e-dosti le kar phire
wae ye taht-e-shuur apna bala sa ban gaya
apni aankhon mein bade nadidani manzar phire


jab bhi wo aae khuli aish-o-tarab ki chandni
din mere zulmat-kade ke is tarah aksar phire
kya koi shahr-e-tamanna phir ujad kar bas gaya
jabiran-e-waqt kyon khanjar liye ghar ghar phire


shab ko aksar ham-safar thi thandi thandi chandni
din ko hum jalta hua suraj liye sar par phire
nind kya aati shab-e-hijran ke is mahaul mein
hum kabhi baithe kabhi uthe kabhi uth kar phire


dam ghanimat hai 'jamali' aap ka is daur mein
ab zamane mein kahan hain aap jaise sar-phire
86829 viewsghazalEnglish