humne KHud chheDa hai zaKHmon ko hara rakhna tha

By kuldeep-kumarNovember 4, 2020
hum ne khud chheda hai zakhmon ko hara rakhna tha
khud ko ek shakhs se ta-umr khafa rakhna tha
tang-damani mein dam ghutta hai diwanon ka
ishq hum se tha to phir dil bhi bada rakhna tha


hanste gate hue din guzra hai hum logon ka
raat ko aur zara karb-zada rakhna tha
kam se kam raushni ka dawa nahin karte tum
jab charaghon ke muqaddar mein hawa rakhna tha


rang udasi ke na jaenge chalo mana magar
kam se kam kamre ka huliya to naya rakhna tha
ek ummid jaga rakhni thi rukne ke liye
us ko thoda sa to darwaza khula rakhna tha


jaan le lega firaq ab ki sar-e-ishq tumhein
dil chalo thik magar jism juda rakhna tha
roz to aate nahin ahl-e-aza basti mein
un ki khatir to koi dard naya rakhna tha


98401 viewsghazalEnglish