humne kisi ki yaad mein akasr sharab pi

By fazil-jamiliOctober 30, 2020
hum ne kisi ki yaad mein akasr sharab pi
pi kar ghazal kahi to mukarrar sharab pi
yaadon ka ek hujum tha tanha nahin tha main
sahil ki chandni mein samundar sharab pi


muddat ke baad aaj main office nahin gaya
khud apne sath baith ke din bhar sharab pi
is cocktail ka to nasha hi kuchh aur hai
gham ko khushi ke sath mila kar sharab pi


waise to hum ne pi hi nahin thi kabhi sharab
pine lage to wajd mein aa kar sharab pi
ab kaun ja ke sahib-e-mimbar se ye kahe
kyun khun pi raha hai sitamgar sharab pi


17282 viewsghazalEnglish