humne to is ishq mein yaro khinche hain aazar bahut

hum ne to is ishq mein yaro khinche hain aazar bahut
tum kuchh us ki baat karo hai jis se tum ko pyar bahut

log hum aise na-danon ko aaenge samjhane bhi
tera gham phir tera gham hai gham hai to gham-khwar bahut

aae mausam-e-gul dekhen wo kis kis ko zanjir karen
ab ke suna hai ahl-e-chaman bhi baithe hain bezar bahut

in ko behis jaan na saqi awwal-e-shab hai baada-nosh
raat dhale mahsus karenge shishe ki jhankar bahut

apna apna husn-e-nazar hai apni apni manzil hai
shart mayassar aata hai to saya-e-zulf-e-yar bahut


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close