hum se bhi gahe gahe mulaqat chahiye insan hain sabhi to musawat chahiye achchha chalo khuda na sahi un ko kya hua aakhir koi to qazi-e-hajat chahiye hai aaqibat kharab to duniya hi thik ho koi to surat-e-guzar-auqat chahiye jaane palak jhapakne mein kya gul khilae waqt har dam nazar ba-surat-e-haalat chahiye aaegi hum ko ras na yak-rangi-e-khala ahl-e-zamin hain hum hamein din raat chahiye wa kar diye hain ilm ne dariya-e-marifat andhon ko ab bhi kashf o karamat chahiye jab qais ki kahani ab anjum ki dastan duniya ko dil lagi ke liye baat chahiye