hun kis maqam pe dil mein tere khabar na lage tere saliqa-e-guftar ko nazar na lage ghira hua tha tu kuchh nagawar logon mein malal ye hai ki us waqt hum ko par na lage asir-e-qarya-e-wahshat hun ek muddat se khirad ki rah kisi taur mo'tabar na lage makan wahi hai par us ka makin kya uttha sahar bhi ho to wo pahli si ab sahar na lage akeli sham khadi thi udas jangal mein tuyur ba-khabar o aashna-shajar na lage saza-e-jazba o ehsas-e-jaan ke sath rahi wo rog rog hi kya hai jo umr bhar na lage baja hai khwab-nawardi pa khwab aaise hon khule jo aankh to apna hi ghar khandar na lage jo ba-kamalon ki tauqir kam kare 'shahid' hamare hath koi aisa bhi hunar na lage