hun musht-e-KHak magar kuza-gar ka main bhi hun
By irfan-siddiqiFebruary 26, 2024
hun musht-e-khak magar kuza-gar ka main bhi hun
so muntazir usi lams-e-hunar ka main bhi hun
kabhi hawa-e-sar-e-shakh-sar idhar bhi dekh
ki barg-e-zard hun lekin shajar ka main bhi hun
ye tez raushniyon ka dayar hai warna
charagh to kisi tarik ghar ka main bhi hun
tumhaare zakhmon se mera bhi ek rishta hai
lahu nahin hun magar chashm-e-tar ka main bhi hun
mujhe khinchi hui talwar saunpne wale
main kya karun ki taraf-dar sar ka main bhi hun
ab aa gai hai sahar apna ghar sanbhaalne ko
chalun ki jaga hua raat-bhar ka main bhi hun

75723 viewsghazal • English