huquq jab yaad aae apne
By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
huquq jab yaad aae apne
ghulam par muskurae apne
bahut janaze the raste mein
qadam bhi hum gin na pae apne
wo kaun si raaz-dariyan thin
ki sae bahar bithae apne
hawa ne aandhi ki shakl le kar
tamam qaidi chhudae apne
ek aur din ki hai aamad aamad
khuda ne mohre sajae apne
khade hain lashon ke darmiyan hum
imam-zamin bandhae apne
kiya hi kya aur zindagi bhar
badan ke nakhre uthae apne
kisi ka dushman nahin tha dariya
bhanwar to hum sath lae apne
yahi to mahfil bigadte hain
jo hain yahan bin-bulae apne
ghulam par muskurae apne
bahut janaze the raste mein
qadam bhi hum gin na pae apne
wo kaun si raaz-dariyan thin
ki sae bahar bithae apne
hawa ne aandhi ki shakl le kar
tamam qaidi chhudae apne
ek aur din ki hai aamad aamad
khuda ne mohre sajae apne
khade hain lashon ke darmiyan hum
imam-zamin bandhae apne
kiya hi kya aur zindagi bhar
badan ke nakhre uthae apne
kisi ka dushman nahin tha dariya
bhanwar to hum sath lae apne
yahi to mahfil bigadte hain
jo hain yahan bin-bulae apne
66209 viewsghazal • English