hushyari ka mol chukata rahta hun
By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
hushyari ka mol chukata rahta hun
na-danon se dhoke khata rahta hun
le aata hun har rishte ko jhagde tak
phir jhagde se kaam chalata rahta hun
lashkar mein ek kaam mere zimme bhi hai
sab ko ghar ki yaad dilata rahta hun
dekho us ko kab fursat ho milne ki
jis ke liye main sal bachata rahta hun
achchhi-khasi duniya dekhi hai main ne
kamre se dalan mein aata rahta hun
na-danon se dhoke khata rahta hun
le aata hun har rishte ko jhagde tak
phir jhagde se kaam chalata rahta hun
lashkar mein ek kaam mere zimme bhi hai
sab ko ghar ki yaad dilata rahta hun
dekho us ko kab fursat ho milne ki
jis ke liye main sal bachata rahta hun
achchhi-khasi duniya dekhi hai main ne
kamre se dalan mein aata rahta hun
19508 viewsghazal • English