husn ai jaan nahin rahne ka phir ye ehsan nahin rahne ka nazr ki jeb to ai josh-e-junun ab ye daman nahin rahne ka parda mat munh se uthana yakbar mujh mein ausan nahin rahne ka tu chala aur ye ji is tan mein kisi unwan nahin rahne ka gul ko kya roti hai tu ai bulbul ye gulistan nahin rahne ka dam ka mehman hun main ab bhi tu aa ke mehman nahin rahne ka nabdi mai aur gulistan mein gul tere qurban nahin rahne ka ab bhi aana hai to aa warna myan ye bhi saman nahin rahne ka dil ki darkhwast jo ki tu ne to yan ab ye ek aan nahin rahne ka aise mein apni amanat le ja phir tujhe dhyan nahin rahne ka hijr ke gham se na ghabra 'jurat' itna hairan nahin rahne ka