husn badnam hua ishq ke afsanon se

By mahmood-abdul-qadeerJanuary 18, 2022
husn badnam hua ishq ke afsanon se
ek fitna hai jo uttha kai unwanon se
dil hai mamur teri yaad se armanon se
na raha ghar mera khali kabhi mehmanon se


dil shagufta na ho kyon aaj bayabanon se
gham-e-giti ki hai raunaq inhi viranon se
khabar-e-fasl-e-bahaari ne qayamat dha di
shor-e-fariyaad utha kitne hi zindanon se


hum ne sikha nahin sahil pe bharosa karna
badh ke tufan hue bhid gae tufanon se
kis tarah aalam-e-asbab ko thukraate hain
puchhiye ja ke kabhi be-sar-o-samanon se


jaan dena to gawara hai magar ai shab-e-gham
mujh ko allah bachae tere ehsanon se
kashti apni kabhi sharminda-e-sahil na hui
umr sari ye ulajhte rahi tufanon se


aise logon se rakhun khak tawaqqo main 'qadir'
kaam padta hai to ho jate hain an-jaanon se
48079 viewsghazalEnglish