husn-e-bazm-e-misal mein kya hai aaine ke khayal mein kya hai dekhti kya hai ai nigah-e-karam mere dast-e-sawal mein kya hai tu nahin hai to kaun hai mujh mein farq hijr o visal mein kya hai inqilabaat-e-zindagi kya hain gardish-e-mah-o-sal mein kya hai aap daman-kashan guzarte hain rahguzar-e-khayal mein kya hai baat izhaar-e-haal mein kya thi raaz ikhfa-e-haal mein kya hai