husn-e-fani par hum apna dil fida karte rahe ab pasheman hain ki sari umr kya karte hain hum samajhte hain janab-e-shaikh kya karte rahe hur-o-ghilman ke liye yaad-e-khuda karte rahe zabt-e-girya zabt-e-nala zabt-e-faryaad-o-fughan ishq mein jo kuchh bhi hum se ho saka karte rahe kis tarah soe pade hain chain se zer-e-mazar jo zamin par har ghadi mahshar bapa karte rahe sach agar puchho to hum kafir bhi hain momin bhi hain but-kada mein baith kar yaad-e-khuda karte rahe maut hi aakhir ilaj-e-kargar sabit hui dard-e-dil badhta raha jun jun dawa karte rahe ahl-e-himmat ne to ai 'simab' manzil mar li hum magar hirman-nasibi ka gila karte rahe