husn-e-taza kanwal ke jaisa hai aur chehra ghazal ke jaisa hai rang tuti hui jawani ka ek ujde mahal ke jaisa hai ahl-e-mehnat ki mehnaton ka sila aaj mitti ke phal ke jaisa hai zulm par aah bhi nahin karte apna jina ajal ke jaisa hai wo zamana tha amn ka dushman ye zamana bhi kal ke jaisa hai kaam hota hai baat par us ki azm us ka amal ke jaisa hai apne mahaul ki ghalazat mein wo shagufta kanwal ke jaisa hai aaj ke rahbaron ka har wada dekhna guzre pal ke jaisa hai mulk mein kya fasadiyon ka hal aaj cancer ke hal ke jaisa hai meri uljhan ka silsila shayad teri zulfon ke bal ke jaisa hai kis ko manzil milegi ai 'arshad' azm kis ka amal ke jaisa hai