husn har rang mein maKHsus kashish rakhta hai

By anwarul-hasan-anwarOctober 25, 2020
husn har rang mein makhsus kashish rakhta hai
wo tabassum ki ada ho ki sitam-koshi ho
zindagi kaif-e-musalsal mein guzar jati hai
chashm-e-makhmur ki masti ho ki mai-noshi ho


tere aane ki masarrat se sahar ho raushan
aur raaton ki tere gham mein siyah-poshi ho
jazbiyyat to ba-har-haal hua karti hai
husn ki bu-qalamuni ho ki khush-poshi ho


koi aalam ho najat-e-gham-e-dauran ke liye
maut ho nind ho be-hoshi ho
shukr 'anwar' jafaon pe na kyunkar kijiye
kyunki shikwa ho to ehsan-framoshi ho


31708 viewsghazalEnglish