husn ki bewafaiyan tauba

By aziz-badayuniOctober 28, 2020
husn ki bewafaiyan tauba
ishq ki sar-giraniyan tauba
muzmahil qalb muntashir iman
muztarib naujawaniyan tauba


hai raunat ka aaina shashdar
uf teri khud-numaiyan tauba
ek be-nam si khalish shayad
aur khirad ki gawahiyan tauba


raste hain junun ke milti hain
unchi nichi si khaiyan tauba
lab-e-kashmir par machalti hain
kuchh sulagti kahaniyan tauba


ajnabi rah-guzar mein bikhri hain
zindagi ki nishaniyan tauba
aandhiyon mein charagh raushan hain
aql ki mehrbaniyan tauba


wo mahakte hue khayal mere
wo teri bad-gumaniyan tauba
aarzu ka 'aziz' taj-mahal
zindagi ki tabahiyan tauba


85163 viewsghazalEnglish