husn ki ek chingari ne kya KHub lagai ishq ki aag

husn ki ek chingari ne kya khub lagai ishq ki aag
rukh par zulf ka jhonka aaya aur lahrai ishq ki aag

aankh se nikli ek dastak ne dil darwaza khol diya
pyar ka ek guldasta thame milne aai ishq ki aag

sath mein jina sath mein marna rishta apni sadiyon ka
ham-joli ho apni jaise ya man-jai ishq ki aag

pair mein chakkar hath mein kasa dil walon ki basti mein
pyar ki daulat lene nikle hath mein aai ishq ki aag

hijr ke tapte sahra mein ek yaad ke ghunt se dam aaya
bilkul jaan nikalne ko thi jab pahunchai ishq ki aag

us zalim ki nazron mein kuchh jadu jaisi baat to thi
pahle pyar ka rup sajaya phir sulgai ishq ki aag

hijr ke hathon dil ki zamin par nag-phani jab kasht hue
hum ne yaad ki kaliyan sunghin aur mahkai ishq ki aag

duniya bhar ki nahren dariya aur samundar sukh gae
sohni apne kachche ghade mein jab bhar lai ishq ki aag

yun to 'saba' hum har mausam mein aag mein zinda jalte hain
sawan ki rut ne lekin khul kar barsai ishq ki aag


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close